Tibb Ki Ehmiyat (Importance of Tibb)

0


As Salam o Alaikum. Tibb ki Ehmiyat ko kon nahin janta as a Pakistani aur as a Muslim tibb hamari zindagi ka aik eham hissa hai. Hadees e Navbi (SAW) hai "Ilam do (2) hi hain ilam e deen aur ilam e Tibb."

Hamari sab se bari bad kismati ye hai k hum is ilam se pura Faida (Benefit) nahin utha rahy. Tibb ko samjhne waly hi tibb ko barbad krne main lagy hue hain. Aaj kal k tabbib English medicines ko pees kr logon ko khila rahy hain jo k bohat sharam ki baat hai. Ya phir logon ko ghalat ya kam asar rakhnr wali dawa dete hain takeh maraz jaldi theek na Ho.

Chalo ye tou baat ho gai Tabbib hazrat ki magar Pakistan aik aysa mulak hai jahan har insan ki hakeem hai. Kisi se bhi kisi bemari ki baat kro tou jhat se aik nuskha paish ho jata hai. Jo k meri nazar main bohat ghalat amal hai kyoun k har insam ka mizaj mukhtalif hai aur Har dawa har insan ko raas nahin aati.


Main aik Tibb ka student hon mujhe abhi tibb ka itna Ilam nahin jitna hona chahiye magar phir main ye meri aik koshish hai k main jo kuch bhi seekhon wo pura Imandari k sath aap tak aagy puhanchaon. In Sha Allah is se mujhe bhi faida hoga aur yakenan aap ko bhi faida hoga. Is blog main main aap se har kisam ki Tibb se related information share kron ga.


Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Accept !